kasmasati jawani ka chhalla
kasmasātī javānī kā chhallā
yaad aayā nishānī kā chhallā
tū ne chaTḳhā.īñ uñgliyāñ to lagā
kāñch par ghūmā paanī kā chhallā
bol lauñDī kahāñ se aayā hai
terī uñglī meñ raanī kā chhallā
merī uñglī meñ paḌ gayā Dhīlā
terī marhūm naanī kā chhallā
le ga.ī hai farangī kī beTī
ek hindostānī kā chhallā
ek fitna hai terī uñglī meñ
'ahd-e-changez-ḳhānī kā chhallā
haath meñ maalā hai fulānī kī
jeb meñ hai fulānī kā chhallā
surḳh kar ke mirī zabāñ pe rakho
dostān-e-zamānī kā chhallā
nikal aatā hai bār-bār 'shafaq'
haa.e is 'umr-e-fānī kā chhallā
kasmasati jawani ka chhalla
yaad aaya nishani ka chhalla
tu ne chaTKHain ungliyan to laga
kanch par ghuma pani ka chhalla
bol launDi kahan se aaya hai
teri ungli mein rani ka chhalla
meri ungli mein paD gaya Dhila
teri marhum nani ka chhalla
le gai hai farangi ki beTi
ek hindostani ka chhalla
ek fitna hai teri ungli mein
'ahd-e-changez-KHani ka chhalla
hath mein mala hai fulani ki
jeb mein hai fulani ka chhalla
surKH kar ke meri zaban pe rakho
dostan-e-zamani ka chhalla
nikal aata hai bar-bar 'shafaq'
hae is 'umr-e-fani ka chhalla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.