Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaTega kaise KHayalon ka ye safar tanha

Malika Naseem

kaTega kaise KHayalon ka ye safar tanha

Malika Naseem

MORE BYMalika Naseem

    kaTegā kaise ḳhayāloñ ye safar tanhā

    udaas shaam hai ḳhvāboñ rahguzar tanhā

    talāsh hai ki ta.āqub hai sabz pattoñ

    bhaTak rahī haiñ havā.eñ shajar shajar tanhā

    jo chhā ga.e the in āñkhoñ meñ tere jaane se

    vo abr TuuT ke barse haiñ rāt-bhar tanhā

    huī jo shaam to yādoñ ne rāsta na diyā

    tamām din thī ḳhayāloñ rahguzar tanhā

    jo apnī zaat se kal ek anjuman thā 'nasīm'

    milā hai aaj vahī shaḳhs kis qadar tanhā

    kaTega kaise KHayalon ka ye safar tanha

    udas sham hai KHwabon ki rahguzar tanha

    talash hai ki taaqub hai sabz patton ka

    bhaTak rahi hain hawaen shajar shajar tanha

    jo chha gae the in aankhon mein tere jaane se

    wo abr TuT ke barse hain raat-bhar tanha

    hui jo sham to yaadon ne rasta na diya

    tamam din thi KHayalon ki rahguzar tanha

    jo apni zat se kal ek anjuman tha 'nasim'

    mila hai aaj wahi shaKHs kis qadar tanha

    Source:

    (Pg. 52)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now