Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun deta raha sahra mein sada meri tarah

Shaz Tamkanat

kaun deta raha sahra mein sada meri tarah

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    kaun detā rahā sahrā meñ sadā merī tarah

    aaj tanhā huuñ magar koī to thā merī tarah

    maiñ tirī raah meñ pāmāl huā jaatā huuñ

    miT na jaa.e tirā naqsh-e-kaf-e-pā merī tarah

    maiñ tanhā huuñ faqat terī bharī duniyā meñ

    aur bhī log haiñ kyā mere ḳhudā merī tarah

    rañg-e-arbāb-e-razā-e-pesha mubārak ho tujhe

    koī hotā nahīñ tujh se ḳhafā merī tarah

    kis ko hāsil ho tirī chashm-e-siyah ke aage

    mansab-e-silsila-e-jurm-o-ḳhatā merī tarah

    āshnā kaun hai naqsh-e-qadam-e-nik.hat

    yaad kis ko hai tire ghar patā merī tarah

    'shāz' taarā nahīñ TuuTā koī dil TuuTā hai

    raah taktā thā shab-e-ġham koī kyā merī tarah

    kaun deta raha sahra mein sada meri tarah

    aaj tanha hun magar koi to tha meri tarah

    main teri rah mein pamal hua jata hun

    miT na jae tera naqsh-e-kaf-e-pa meri tarah

    main hi tanha hun faqat teri bhari duniya mein

    aur bhi log hain kya mere KHuda meri tarah

    rang-e-arbab-e-raza-e-pesha mubarak ho tujhe

    koi hota hi nahin tujh se KHafa meri tarah

    kis ko hasil ho teri chashm-e-siyah ke aage

    mansab-e-silsila-e-jurm-o-KHata meri tarah

    aashna kaun hai naqsh-e-qadam-e-nikhat ka

    yaad kis ko hai tere ghar ka pata meri tarah

    'shaz' tara nahin TuTa koi dil TuTa hai

    rah takta tha shab-e-gham koi kya meri tarah

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 422)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now