kaun in lākhoñ adāoñ meñ mujhe pyārī nahīñ
naam luuñ kis kis kā mujh ko ek bīmārī nahīñ
aag kitnī le ke niklā thā mirā dūd-e-jigar
vo fazā hai kaun jis meñ koī chingārī nahīñ
yaas se kyuuñ dekhte haiñ dost ai āzār-e-dil
pūchhte haiñ kyā mujhe to koī bīmārī nahīñ
haath rakh kar ik zarā dekho tap-e-ġham kā asar
ye tumhārā hī jalāyā dil hai chingārī nahīñ
dil ne rag rag se chhupā rakkhā hai terā rāz-e-'ishq
jis ko kah de nabz aisī merī bīmārī nahīñ
qaid ho kar maiñ ne kholī ham-safīroñ kī zabāñ
kis gulistāñ meñ mirā zikr-e-giraftārī nahīñ
kaun in lakhon adaon mein mujhe pyari nahin
nam lun kis kis ka mujh ko ek bimari nahin
aag kitni le ke nikla tha mera dud-e-jigar
wo faza hai kaun jis mein koi chingari nahin
yas se kyun dekhte hain dost ai aazar-e-dil
puchhte hain kya mujhe to koi bimari nahin
hath rakh kar ek zara dekho tap-e-gham ka asar
ye tumhaara hi jalaya dil hai chingari nahin
dil ne rag rag se chhupa rakkha hai tera raaz-e-'ishq
jis ko kah de nabz aisi meri bimari nahin
qaid ho kar main ne kholi ham-safiron ki zaban
kis gulistan mein mera zikr-e-giraftari nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.