kaun kahta hai ki pi kar dur ho jate hain gham
kaun kahtā hai ki pī kar duur ho jaate haiñ ġham
aur yaad aatī haiñ bāteñ aur taḌpāte haiñ ġham
muskurā kar apnī ḳhuddārī kī rakh letā huuñ laaj
muskurāhaT ke hasīñ parde meñ chhup jaate haiñ ġham
ehtiyāt-o-zabt ban jaatā hai jis dil kā mizāj
aise dil kā chupke chupke kaam kar jaate haiñ ġham
yuuñ bhī aḳhlāqan unheñ dil meñ jagah detā huuñ maiñ
mujh ko apnā hī samajhte haiñ to mil jaate haiñ ġham
tishna-kāmān-e-mohabbat ke fasāne hī sunāo
is tarah ai hamdamo āñkhoñ se bah jaate haiñ ġham
huuñ to ġham-qismat magar paayā hai vo rangīñ mizāj
mujh se bā'z-auqāt katrā kar guzar jaate haiñ ġham
she'r kah letā huuñ un ke faiz se maiñ bhī 'ra.īs'
ḳhair se itnā karam mujh par bhī farmāte haiñ ġham
kaun kahta hai ki pi kar dur ho jate hain gham
aur yaad aati hain baaten aur taDpate hain gham
muskura kar apni KHuddari ki rakh leta hun laj
muskurahaT ke hasin parde mein chhup jate hain gham
ehtiyat-o-zabt ban jata hai jis dil ka mizaj
aise dil ka chupke chupke kaam kar jate hain gham
yun bhi aKHlaqan unhen dil mein jagah deta hun main
mujh ko apna hi samajhte hain to mil jate hain gham
tishna-kaaman-e-mohabbat ke fasane hi sunao
is tarah ai hamdamo aankhon se bah jate hain gham
hun to gham-qismat magar paya hai wo rangin mizaj
mujh se ba'z-auqat katra kar guzar jate hain gham
she'r kah leta hun un ke faiz se main bhi 'rais'
KHair se itna karam mujh par bhi farmate hain gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.