kaun le kis ki KHabar kho gae sannaTe mein
kaun le kis kī ḳhabar kho ga.e sannāTe meñ
ham idhar aap udhar kho ga.e sannāTe meñ
terī bātoñ kā asar kho ga.e sannāTe meñ
ham na sun paa.e magar kho ga.e sannāTe meñ
tīrgī aisī ki gum ho ke na ham ḳhud ko mile
koī dīvār na dar kho ga.e sannāTe meñ
ek hasrat thī ki ham tum se mileñ baat kareñ
dekh ke tum ko magar kho ga.e sannāTe meñ
zindagī apnī har ik gaam pe lagtī hai sarāb
uf ye sahrā kā safar kho ga.e sannāTe meñ
ye zamāna to nahīñ dād-o-dahish kā ai 'vaqār'
rah ga.e apne hunar kho ga.e sannāTe meñ
kaun le kis ki KHabar kho gae sannaTe mein
hum idhar aap udhar kho gae sannaTe mein
teri baaton ka asar kho gae sannaTe mein
hum na sun pae magar kho gae sannaTe mein
tirgi aisi ki gum ho ke na hum KHud ko mile
koi diwar na dar kho gae sannaTe mein
ek hasrat thi ki hum tum se milen baat karen
dekh ke tum ko magar kho gae sannaTe mein
zindagi apni har ek gam pe lagti hai sarab
uf ye sahra ka safar kho gae sannaTe mein
ye zamana to nahin dad-o-dahish ka ai 'waqar'
rah gae apne hunar kho gae sannaTe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.