Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun si baat teri humse uThai na gai

Meerza Jawan Bakht Jahandar

kaun si baat teri humse uThai na gai

Meerza Jawan Bakht Jahandar

MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar

    kaun baat tirī ham se uThā.ī na ga.ī

    par jafā-jū tirī ye nit laḌā.ī na ga.ī

    na kahā thā ki qātil ho mirā maiñ maqtūl

    sarnavisht apnī kisī se miTā.ī na ga.ī

    qasd har chand kiyā sīkhne bulbul ne

    vaz.a naale mirī us se uḌaa.ī na ga.ī

    dil-e-sozāñ 'jahāñdār' tire tā-ba-falak

    kaun aah thī jo misl-e-havā.ī na ga.ī

    kaun si baat teri hum se uThai na gai

    par jafa-ju teri ye nit ki laDai na gai

    na kaha tha ki tu qatil ho mera main maqtul

    sarnawisht apni kisi hi se miTai na gai

    qasd har chand kiya sikhne ka bulbul ne

    waza nale ki meri us se uDai na gai

    dil-e-sozan ki 'jahandar' tere ta-ba-falak

    kaun si aah thi jo misl-e-hawai na gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now