KHak-e-wahshat sar par Dalun main pagal ho jaun
ḳhāk-e-vahshat sar par Dālūñ maiñ pāgal ho jā.ūñ
yā phir zarf kā sāgar chhoḌūñ aur bādal ho jā.ūñ
merī qismat kī tārīkī kuchh to rang dikhā.e
us kī āñkhoñ meñ jā baiThūñ maiñ kājal ho jā.ūñ
hijr kī taptī dhuup ne mujh ko ik sahrā kar Daalā
qurb kā bādal aa.e barse maiñ jal-thal ho jā.ūñ
zahr jo le ke aa.e koī us ko paas biThā.ūñ
apne man kī ḳhushbū bāñTūñ maiñ sandal ho jā.ūñ
maalī merī shāḳheñ mere patte kaaT rahā hai
bāġhīche kī had se niklūñ phir jangal ho jā.ūñ
lauTūñ 'sayyad' us nagrī ko jis kā huuñ bāshinda
aaj se rishta naatā toḌūñ phir se kal ho jā.ūñ
KHak-e-wahshat sar par Dalun main pagal ho jaun
ya phir zarf ka sagar chhoDun aur baadal ho jaun
meri qismat ki tariki kuchh to rang dikhae
us ki aankhon mein ja baiThun main kajal ho jaun
hijr ki tapti dhup ne mujh ko ek sahra kar Dala
qurb ka baadal aae barse main jal-thal ho jaun
zahr jo le ke aae koi us ko pas biThaun
apne man ki KHushbu banTun main sandal ho jaun
mali meri shaKHen mere patte kaT raha hai
baghiche ki had se niklun phir jangal ho jaun
lauTun 'sayyad' us nagri ko jis ka hun bashinda
aaj se rishta nata toDun phir se kal ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.