KHak hote rahe nibhate rahe
ḳhaak hote rahe nibhāte rahe
saarī bātoñ pe muskurāte rahe
ham ko darkār thī koī vahshat
ghar meñ ik dasht sā banāte rahe
jaate jaate bhī ham na jaañ se ga.e
aap bhī aa rahe the aate rahe
kashtiyāñ Dūbtī rahīñ yuuñ hī
aur mallāh giit gaate rahe
ḳhud ko paayā thā ek 'umr ke baa'd
ḳhud ko sunte rahe sunāte rahe
KHak hote rahe nibhate rahe
sari baaton pe muskuraate rahe
hum ko darkar thi koi wahshat
ghar mein ek dasht sa banate rahe
jate jate bhi hum na jaan se gae
aap bhi aa rahe the aate rahe
kashtiyan Dubti rahin yun hi
aur mallah git gate rahe
KHud ko paya tha ek 'umr ke ba'd
KHud ko sunte rahe sunate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.