KHak ke zaKHm ko pani se rafu karte hain
ḳhaak ke zaḳhm ko paanī se rafū karte haiñ
dekh ham kitnī ravānī se rafū karte haiñ
kabhī karte haiñ rafū ḳhuun kī ik dhaar se ham
aur kabhī ashk-fishānī se rafū karte haiñ
kasrat-e-ḳhvāb se phaT jaatī haiñ aksar āñkheñ
ham in āñkhoñ ko kahānī se rafū karte haiñ
der tak ek jagah rahne se aa jaate haiñ zaḳhm
to unheñ naql-e-makānī se rafū karte haiñ
ham vo bad-baḳht muhājir haiñ ki hijrat ke shigāf
mustaqil hijrat-e-sānī se rafū karte haiñ
sang-e-ehsās idhar aa ki rulā kar tujh ko
tirā patthar tire paanī se rafū karte haiñ
KHak ke zaKHm ko pani se rafu karte hain
dekh hum kitni rawani se rafu karte hain
kabhi karte hain rafu KHun ki ek dhaar se hum
aur kabhi ashk-fishani se rafu karte hain
kasrat-e-KHwab se phaT jati hain aksar aankhen
hum in aankhon ko kahani se rafu karte hain
der tak ek jagah rahne se aa jate hain zaKHm
to unhen naql-e-makani se rafu karte hain
hum wo bad-baKHt muhajir hain ki hijrat ke shigaf
mustaqil hijrat-e-sani se rafu karte hain
sang-e-ehsas idhar aa ki rula kar tujh ko
tera patthar tere pani se rafu karte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 115)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.