KHak se KHak talak ka ye fasana hoga
ḳhaak se ḳhaak talak kā ye fasāna hogā
dil tumhārā thā tumhārā hai tumhārā hogā
mustaqil dastakeñ dete rahe ye soch ke ham
band darvāze ke pīchhe koī rasta hogā
shaam hote hī usī shaḳhs kī yaad aatī hai
jise ham ne kabhī sochā thā hamārā hogā
ye ġhazal-goī virāsat meñ nahīñ miltī hai
ye hunar aap ko ashkoñ se kamānā hogā
'ishq badnām galī hai na guzarnā yaañ se
aap ke paas jo kuchh bhī hai gañvānā hogā
āsmānoñ kī uḌānoñ se utarne ke baa'd
sūkhī Daalī hī parindoñ kā Thikāna hogā
KHak se KHak talak ka ye fasana hoga
dil tumhaara tha tumhaara hai tumhaara hoga
mustaqil dastaken dete rahe ye soch ke hum
band darwaze ke pichhe koi rasta hoga
sham hote hi usi shaKHs ki yaad aati hai
jise hum ne kabhi socha tha hamara hoga
ye ghazal-goi wirasat mein nahin milti hai
ye hunar aap ko ashkon se kamana hoga
'ishq badnam gali hai na guzarna yan se
aap ke pas jo kuchh bhi hai ganwana hoga
aasmanon ki uDanon se utarne ke ba'd
sukhi Dali hi parindon ka Thikana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.