KHamushi ko lab-e-izhaar nahin kar sakte
ḳhāmushī ko lab-e-iz.hār nahīñ kar sakte
apne lahje ko to talvār nahīñ kar sakte
aap har phuul ko pāband-e-qafas kar leñge
us kī ḳhushbū ko giraftār nahīñ kar sakte
ham ne vo kaam kiye haiñ ye hamī jānte haiñ
vo jo is daur ke fankār nahīñ kar sakte
un kī shohrat ke liye ashk bahāne hoñge
ġham kī tash.hīr to aḳhbār nahīñ kar sakte
ham ne rahzan se hī manzil kā patā pūchhā hai
kaam ye qāfila-sālār nahīñ kar sakte
dekhiye aap ne chāhā hai 'ḳhadīja' ko bahut
aap is baat se inkār nahīñ kar sakte
KHamushi ko lab-e-izhaar nahin kar sakte
apne lahje ko to talwar nahin kar sakte
aap har phul ko paband-e-qafas kar lenge
us ki KHushbu ko giraftar nahin kar sakte
hum ne wo kaam kiye hain ye hami jaante hain
wo jo is daur ke fankar nahin kar sakte
un ki shohrat ke liye ashk bahane honge
gham ki tashhir to aKHbar nahin kar sakte
hum ne rahzan se hi manzil ka pata puchha hai
kaam ye qafila-salar nahin kar sakte
dekhiye aap ne chaha hai 'KHadija' ko bahut
aap is baat se inkar nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.