KHabar ye kar de koi bewafa zamane ko
ḳhabar ye kar de koī bevafā zamāne ko
ki aaj jī mirā chāhā hai muskurāne ko
ḳhayāl-e-yār se kyā kyā umiid bāñdhī thī
ḳhayāl-e-yār bhī aayā to dil dukhāne ko
ḳhabar kahāñ thī kise inqalāb kahte haiñ
tirī nigāh ne samjhā diyā zamāne ko
sar-e-niyāz kī 'azmat kā kuchh ḳhayāl rahe
buland aur karo apne āstāne ko
qabā-darīda koī aur koī garebāñ-chāk
kahā thā kis ne shagūfoñ se muskurāne ko
'sirāj' maiñ bhī 'ajab huuñ 'ajīb qismat hai
ki jo bhī aayā vo aayā mujhe jalāne ko
KHabar ye kar de koi bewafa zamane ko
ki aaj ji mera chaha hai muskurane ko
KHayal-e-yar se kya kya umid bandhi thi
KHayal-e-yar bhi aaya to dil dukhane ko
KHabar kahan thi kise inqalab kahte hain
teri nigah ne samjha diya zamane ko
sar-e-niyaz ki 'azmat ka kuchh KHayal rahe
buland aur karo apne aastane ko
qaba-darida koi aur koi gareban-chaak
kaha tha kis ne shagufon se muskurane ko
'siraj' main bhi 'ajab hun 'ajib qismat hai
ki jo bhi aaya wo aaya mujhe jalane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.