KHair maine to kiya nala pareshan ho kar
ḳhair maiñ ne to kiyā naala pareshāñ ho kar
tum pashemāñ na karo mujh ko pashemāñ ho kar
dil meñ paikān to aa jaate haiñ armāñ ho kar
dil se armān nikalte nahīñ paikāñ ho kar
ye sanam-ḳhāna hai kā'ba to nahīñ hai zāhid
tujh ko aanā thā yahāñ sāhab-e-īmāñ ho kar
josh-e-vahshat ne garebāñ hī na chhoḌā ab kyā
fikr-e-anjām karūñ sar-ba-garebāñ ho kar
chhoḌ kar but-kada ka.abe ko chalā hai 'at.har'
haif patthar na paḌe tujh pe musalmāñ ho kar
KHair main ne to kiya nala pareshan ho kar
tum pasheman na karo mujh ko pasheman ho kar
dil mein paikan to aa jate hain arman ho kar
dil se arman nikalte nahin paikan ho kar
ye sanam-KHana hai ka'ba to nahin hai zahid
tujh ko aana tha yahan sahab-e-iman ho kar
josh-e-wahshat ne gareban hi na chhoDa ab kya
fikr-e-anjam karun sar-ba-gareban ho kar
chhoD kar but-kada kabe ko chala hai 'athar'
haif patthar na paDe tujh pe musalman ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.