Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai

Nawab Ahsan

KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai

Nawab Ahsan

MORE BYNawab Ahsan

    ḳhamosh is liye ham haiñ ki baat ghar hai

    abhī ye dekh rahe haiñ havā kidhar hai

    bujhe charāġh to ehsās-e-karb jaag uThā

    na jaane kaise parindoñ ne shab basar hai

    hamāre bachchoñ ke dil meñ sulag rahe haiñ alaav

    ye aag bujh nahīñ pā.egī umr bhar hai

    nahā uTheñge abhī log be-sabab ḳhuuñ meñ

    ye jañg sirf hamāre ek sar hai

    na tum kahoge to ḳhanjar pukār uTThegā

    lahū meñ kis ke ye phir āstīn tar hai

    barahna kāñToñ pe bistar bichhā diyā maiñ ne

    bhuul ki mirī aarzū safar hai

    panāh dhuup se 'ahsan' jo de sake sab ko

    zarūrat aaj yahāñ aise ik shajar hai

    KHamosh is liye hum hain ki baat ghar ki hai

    abhi ye dekh rahe hain hawa kidhar ki hai

    bujhe charagh to ehsas-e-karb jag uTha

    na jaane kaise parindon ne shab basar ki hai

    hamare bachchon ke dil mein sulag rahe hain alaw

    ye aag bujh nahin paegi umr bhar ki hai

    naha uThenge abhi log be-sabab KHun mein

    ye jang sirf hamare hi ek sar ki hai

    na tum kahoge to KHanjar pukar uTThega

    lahu mein kis ke ye phir aastin tar ki hai

    barahna kanTon pe bistar bichha diya main ne

    tu bhul ja ki meri aarzu safar ki hai

    panah dhup se 'ahsan' jo de sake sab ko

    zarurat aaj yahan aise ek shajar ki hai

    Source :
    • Book : Tiisha (Pg. 43)
    • Author : Nawab Ahsan
    • Edition : 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now