Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

Irfan Siddiqi

KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ḳharāba ek din ban jaa.e ghar aisā nahīñ hogā

    achānak uTheñ vo bām-o-dar aisā nahīñ hogā

    vo sab ik bujhne vaale shola-e-jāñ tamāshā thā

    dobāra ho vahī raqs-e-sharar aisā nahīñ hogā

    vo saarī bastiyāñ vo saare chehre ḳhaak se nikleñ

    ye duniyā phir se ho zer-o-zabar aisā nahīñ hogā

    mire gum-gashtagāñ ko le ga.ī mauj-e-ravāñ koī

    mujhe mil jaa.e phir ganj-e-guhar aisā nahīñ hogā

    ḳharāboñ meñ ab un justujū silsila kyā hai

    mire gardūñ-shikār aa.eñ idhar aisā nahīñ hogā

    hayūle raat bhar mehrāb-o-dar meñ phirte rahte haiñ

    meñ samjhā thā ki apne ghar meñ Dar aisā nahīñ hogā

    maiñ thak jā.ūñ to bāzū-e-havā mujh ko sahārā de

    girūñ to thaam le shāḳh-e-shajar aisā nahīñ hogā

    koī harf-e-duā mere liye patvār ban jaa.e

    bachā le Dūbne se chashm-e-tar aisā nahīñ hogā

    koī āzār pahle bhī rahā hogā mire dil ko

    rahā hogā magar ai chāra-gar aisā nahīñ hogā

    ba-hadd-e-vus.at-e-zanjīr gardish kartā rahtā huuñ

    koī vahshī giraftār-e-safar aisā nahīñ hogā

    badaun terī miTTī se bichhaḌ kar rahā huuñ maiñ

    nahīñ ai jān-e-man, bār-e-digar aisā nahīñ hogā

    KHaraba ek din ban jae ghar aisa nahin hoga

    achanak ji uThen wo baam-o-dar aisa nahin hoga

    wo sab ek bujhne wale shola-e-jaan ka tamasha tha

    dobara ho wahi raqs-e-sharar aisa nahin hoga

    wo sari bastiyan wo sare chehre KHak se niklen

    ye duniya phir se ho zer-o-zabar aisa nahin hoga

    mere gum-gashtagan ko le gai mauj-e-rawan koi

    mujhe mil jae phir ganj-e-guhar aisa nahin hoga

    KHarabon mein ab un ki justuju ka silsila kya hai

    mere gardun-shikar aaen idhar aisa nahin hoga

    hayule raat bhar mehrab-o-dar mein phirte rahte hain

    mein samjha tha ki apne ghar mein Dar aisa nahin hoga

    main thak jaun to bazu-e-hawa mujh ko sahaara de

    girun to tham le shaKH-e-shajar aisa nahin hoga

    koi harf-e-dua mere liye patwar ban jae

    bacha le Dubne se chashm-e-tar aisa nahin hoga

    koi aazar pahle bhi raha hoga mere dil ko

    raha hoga magar ai chaara-gar aisa nahin hoga

    ba-hadd-e-wusat-e-zanjir gardish karta rahta hun

    koi wahshi giraftar-e-safar aisa nahin hoga

    badaun teri miTTi se bichhaD kar ji raha hun main

    nahin ai jaan-e-man, bar-e-digar aisa nahin hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now