KHaridar apna hum ko jaante ho
ḳharīdār apnā ham ko jānte ho
bhalā itnā to tum pahchānte ho
banegā chehra ye kis kā mah o mahr
jo tum baiThe sabāhat chhānte ho
uTho ai zaḳhmiyān-e-kūcha-e-yār
abas kyuuñ ḳhuuñ meñ maaTī sānte ho
vo aane kā nahīñ ab ghar se bāhar
tum us qātil ko kam pahchānte ho
yakā-yak kar guzarte ho vahī jaan
tum apne jī meñ jo kuchh Thānte ho
ġharaz ho āshnā apnī hī zid ke
kisī kī baat ko kab mānte ho
gayā hai qāfila myaañ 'mus.hafī' ab
abas dāman ko tum gardānte ho
KHaridar apna hum ko jaante ho
bhala itna to tum pahchante ho
banega chehra ye kis ka mah o mahr
jo tum baiThe sabahat chhante ho
uTho ai zaKHmiyan-e-kucha-e-yar
abas kyun KHun mein maTi sante ho
wo aane ka nahin ab ghar se bahar
tum us qatil ko kam pahchante ho
yaka-yak kar guzarte ho wahi jaan
tum apne ji mein jo kuchh Thante ho
gharaz ho aashna apni hi zid ke
kisi ki baat ko kab mante ho
gaya hai qafila myan 'mushafi' ab
abas daman ko tum gardante ho
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.