KHatm kar de ye shab-e-jahl sawera kar de
ḳhatm kar de ye shab-e-jahl saverā kar de
merā ik ḳhvāb to sachchā mire maulā kar de
tohmateñ us ke ravayye pe lagāne vaalo
vo kahīñ tum ko na tasvīr-e-tamāshā kar de
e'tibār us kā maiñ karne pe huuñ behad majbūr
jis kā koī bhī bharosa nahīñ kab kyā kar de
bad-havās itne hue dhuup kī shiddat pā kar
log sūraj hī se kahne lage saaya kar de
bhuul jaane kā mujhe mashvara dene vaale
yaad ḳhud ko bhī na maiñ aa.uuñ kuchh aisā kar de
gahre sannāTe kī tah meñ bhī chhupī haiñ chīḳheñ
aise sunñe se to behtar hai ki bahrā kar de
ai ḳhudā qabr ke murdoñ se nahīñ merī murād
chalte phirte haiñ jo murde unheñ zinda kar de
ik tamāshe kī tarah bhiiḌ meñ shāmil haiñ jo
un kī pahchān batā kar unheñ tanhā kar de
tīrgī aisī tasavvur bhī na manzar de paa.e
raushnī aisī ki sūraj ko bhī tanhā kar de
KHatm kar de ye shab-e-jahl sawera kar de
mera ek KHwab to sachcha mere maula kar de
tohmaten us ke rawayye pe lagane walo
wo kahin tum ko na taswir-e-tamasha kar de
e'tibar us ka main karne pe hun behad majbur
jis ka koi bhi bharosa nahin kab kya kar de
bad-hawas itne hue dhup ki shiddat pa kar
log suraj hi se kahne lage saya kar de
bhul jaane ka mujhe mashwara dene wale
yaad KHud ko bhi na main aaun kuchh aisa kar de
gahre sannaTe ki tah mein bhi chhupi hain chiKHen
aise sunne se to behtar hai ki bahra kar de
ai KHuda qabr ke murdon se nahin meri murad
chalte phirte hain jo murde unhen zinda kar de
ek tamashe ki tarah bhiD mein shamil hain jo
un ki pahchan bata kar unhen tanha kar de
tirgi aisi tasawwur bhi na manzar de pae
raushni aisi ki suraj ko bhi tanha kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.