Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHauf ka tari silsila kya hai

Dinakshi Sahar

KHauf ka tari silsila kya hai

Dinakshi Sahar

MORE BYDinakshi Sahar

    ḳhauf taarī silsila kyā hai

    har-sū vahshat hai ye huā kyā hai

    ruuh zaḳhmī hamārī sab hai

    mil ke socheñ ki ab davā kyā hai

    qulzum-e-ḳhūñ na az-azal Thahrī

    is zehānat fā.eda kyā hai

    har taraf shor in savāloñ

    kaun hai tirā pata kyā hai

    ġhair ke ghar lagī to chup hai

    ruk ki terā abhī jalā kyā hai

    kyuuñ bhaTaktī haiñ saḌkoñ pe rūheñ

    mar ke jiine ye sazā kyā hai

    ik ḳhalish havā meñ hai shāyad

    saañs mushkil ho gayā kyā hai

    bhī insān maiñ bhī insāñ

    ab ye insāniyat batā kyā hai

    jiite ho laash par kisī tum

    kal vo jītegā to burā kyā hai

    dard terā mirā na ho yaksāñ

    dard hai alāhada kyā hai

    KHauf ka tari silsila kya hai

    har-su wahshat hai ye hua kya hai

    ruh zaKHmi hamari sab ki hai

    mil ke sochen ki ab dawa kya hai

    qulzum-e-KHun na az-azal Thahri

    is zehanat ka faeda kya hai

    har taraf shor in sawalon ka

    kaun hai tu tera pata kya hai

    ghair ke ghar lagi to chup hai tu

    ruk ki tera abhi jala kya hai

    kyun bhaTakti hain saDkon pe ruhen

    mar ke jine ki ye saza kya hai

    ek KHalish si hawa mein hai shayad

    sans mushkil sa ho gaya kya hai

    tu bhi insan main bhi insan hi

    ab ye insaniyat bata kya hai

    jite ho lash par kisi ki tum

    kal wo jitega to bura kya hai

    dard tera mera na ho yaksan

    dard hi hai alahada kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now