Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal aatishin KHwabida suraten di hain

Farhat Abbas

KHayal aatishin KHwabida suraten di hain

Farhat Abbas

MORE BYFarhat Abbas

    ḳhayāl ātishīñ ḳhvābīda sūrateñ haiñ

    saḳhā-e-hijr ne ab bhī numā.isheñ haiñ

    ye ab jo ḳhvāb zamānoñ ne dastakeñ haiñ

    pas-e-murād haqā.eq manzileñ haiñ

    mire libās ke paivand-e-muflisī pe na

    mire junūñ ne mohabbat ko ḳhil.ateñ haiñ

    mire mizāj mausam ajiib mausam hai

    ki jis ke ġham ne bhī hastī ko raunaqeñ haiñ

    ham ahl-e-ishq ne tāvān rāhateñ de kar

    hudūd-e-arsa-e-vahshat ko vus.ateñ haiñ

    chalo ye baat ġhalat hai to phir batāo mujhe

    har ek haath meñ kis kis ne mish.aleñ haiñ

    shu.ūr jaa.e to fursat se niiñd bhī aa.e

    fishār-e-zāt ne 'farhat' ko ranjisheñ haiñ

    KHayal aatishin KHwabida suraten di hain

    saKHa-e-hijr ne ab bhi numaishen di hain

    ye ab jo KHwab zamanon ne dastaken di hain

    pas-e-murad haqaeq ki manzilen di hain

    mere libas ke paiwand-e-muflisi pe na ja

    mere junun ne mohabbat ko KHilaten di hain

    mere mizaj ka mausam ajib mausam hai

    ki jis ke gham ne bhi hasti ko raunaqen di hain

    hum ahl-e-ishq ne tawan rahaten de kar

    hudud-e-arsa-e-wahshat ko wusaten di hain

    chalo ye baat ghalat hai to phir batao mujhe

    har ek hath mein kis kis ne mishalen di hain

    shuur jae to fursat se nind bhi aae

    fishaar-e-zat ne 'farhat' ko ranjishen di hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now