Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka

Qurban Ali Salik Beg

KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    ḳhayāl guzre kahāñ kahāñ irāda un ko ho gar yahīñ

    na kuchh Thikānā mire gumāñ na kuchh Thikānā mire yaqīñ

    na shauq mujh ko hai hūr-e-īñ na pās-e-vā.iz hai apne diiñ

    jo zikr karnā hai gar yahīñ sunā na jhagḌā kahīñ kahīñ

    ḳharāb kū-e-butāñ hai ḳhilqat yahīñ se paate haiñ ranj-o-rāhat

    sip.har-e-gardish meñ kar na jur.at ki daur aayā hai ab zamīñ

    shahīd hone ye tamannā na dil se niklegī dekh lenā

    uThā.e ḳhanjar vo haath meñ kyā na yaar sambhle jab āstīñ

    hazār naale zabāñ pe laatā hazār mahshar abhī dikhātā

    shab-e-judā.ī agar na aatā ḳhayāl us chashm-e-surmagīñ

    nishān-e-pā-e-adū ne maarā ki tere dar par nahīñ gavārā

    jhuke jo sajde ko sar hamārā miTā.eñ likkhā huā jabīñ

    kahūñ matālib sab apne ke ye shart kiije ki haañ na kiije

    kaho nahīñ phir usī tarah se mujhe hai sunñā nahīñ nahīñ

    jo pūchhe mujh hai koī bad-zan kaho na ahvāl-e-vasl-e-dushman

    ye maiñ ne maanā ki tum ho pur-fan 'ilāj kyā chashm-e-sharmgīñ

    milegī mahshar meñ daad ab kyā adā-e-matlab meñ huuñ maiñ uljhā

    bayān pahle kyuuñ kiyā thā tumhāre gesū-e-ambarīñ

    bayān-e-lutf-e-adū jafā hai ye tum se sau-bār kah diyā hai

    phir ab sun lo nahīñ rahā hai hameñ bhī zabt āh-e-ātshīñ

    'ajab hai 'sālik' bhī riñd-mashrab ki chhoḌ baiThā hai millateñ sab

    na māntā hai kisī maz.hab na hai ye pāband apne diiñ

    KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka

    na kuchh Thikana mere guman ka na kuchh Thikana mere yaqin ka

    na shauq mujh ko hai hur-e-in ka na pas-e-waiz hai apne din ka

    jo zikr karna hai gar yahin ka suna na jhagDa kahin kahin ka

    KHarab ku-e-butan hai KHilqat yahin se pate hain ranj-o-rahat

    siphar-e-gardish mein kar na jurat ki daur aaya hai ab zamin ka

    shahid hone ki ye tamanna na dil se niklegi dekh lena

    uThae KHanjar wo hath mein kya na yar sambhle jab aastin ka

    hazar nale zaban pe lata hazar mahshar abhi dikhata

    shab-e-judai agar na aata KHayal us chashm-e-surmagin ka

    nishan-e-pa-e-adu ne mara ki tere dar par nahin gawara

    jhuke jo sajde ko sar hamara miTaen likkha hua jabin ka

    kahun matalib sab apne ji ke ye shart kije ki han na kije

    kaho nahin phir usi tarah se mujhe hai sunna nahin nahin ka

    jo puchhe mujh sa hai koi bad-zan kaho na ahwal-e-wasl-e-dushman

    ye main ne mana ki tum ho pur-fan 'ilaj kya chashm-e-sharmgin ka

    milegi mahshar mein dad ab kya ada-e-matlab mein hun main uljha

    bayan pahle hi kyun kiya tha tumhaare gesu-e-ambarin ka

    bayan-e-lutf-e-adu jafa hai ye tum se sau-bar kah diya hai

    phir ab ki sun lo nahin raha hai hamein bhi zabt aah-e-atshin ka

    'ajab hai 'salik' bhi rind-mashrab ki chhoD baiTha hai millaten sab

    na manta hai kisi ka mazhab na hai ye paband apne din ka

    Source:

    Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-211 p-179)

    • Author: Qurban Ali Salik Beg
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now