Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega

Rahman Khawar

KHayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    ḳhayāl meñ hai jo chehra nazar bhī aa.egā

    vo apne ghar se kabhī mere ghar bhī aa.egā

    bichhaḌte vaqt manzar bhī dhyān meñ rakhnā

    safar meñ kaam ye raḳht-e-safar bhī aa.egā

    nikal to aa.e haiñ zindān-e-tīrgī se magar

    ye sochte haiñ hameñ kuchh nazar bhī aa.egā

    sabhī na ghar ke darīchoñ se bach ke guzreñge

    havā koī to jhoñkā idhar bhī aa.egā

    malāl sāya-e-dīvār-o-dar abhī se kyā

    ye marhala to sar-e-rahguzar bhī aa.egā

    mirī navā to kabhī rā.egāñ nahīñ jaatī

    agar vo ghar meñ huā baam par bhī aa.egā

    kise gumān thā 'ḳhāvar' vahāñ miTTī meñ

    yahāñ āb-o-havā asar bhī aa.egā

    KHayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega

    wo apne ghar se kabhi mere ghar bhi aaega

    bichhaDte waqt ka manzar bhi dhyan mein rakhna

    safar mein kaam ye raKHt-e-safar bhi aaega

    nikal to aae hain zindan-e-tirgi se magar

    ye sochte hain hamein kuchh nazar bhi aaega

    sabhi na ghar ke darichon se bach ke guzrenge

    hawa ka koi to jhonka idhar bhi aaega

    malal saya-e-diwar-o-dar abhi se kya

    ye marhala to sar-e-rahguzar bhi aaega

    meri nawa to kabhi raegan nahin jati

    agar wo ghar mein hua baam par bhi aaega

    kise guman tha 'KHawar' wahan ki miTTi mein

    yahan ki aab-o-hawa ka asar bhi aaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now