KHayal-o-KHwab ko bagh-o-bahaar kar diya hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko bāġh-o-bahār kar diyā hai
tirī talab ne mujhe ḳhush-gavār kar diyā hai
hameñ ḳhavās ke zumre meñ Dālnā thā magar
hameñ 'avām kī mad meñ shumār kar diyā hai
kuchh iztirāb sā hotā hai ab bhī aahaT par
agarche tark tirā intizār kar diyā hai
kisī bhī amr pe qudrat 'atā na kī mujh ko
mire sipurd magar kārobār kar diyā hai
azal abad meñ zarūrī thā vaqfa-e-mābain
magar tavīl bahut iḳhtisār kar diyā hai
numūd-e-sub.h ne sho'la banā diyā sūraj
zuhūr-e-shab ne sitāra-sharār kar diyā hai
jise maiñ dil se gale se lagā ke rakhtā huuñ
use jahāz pe 'āsim' savār kar diyā hai
KHayal-o-KHwab ko bagh-o-bahaar kar diya hai
teri talab ne mujhe KHush-gawar kar diya hai
hamein KHawas ke zumre mein Dalna tha magar
hamein 'awam ki mad mein shumar kar diya hai
kuchh iztirab sa hota hai ab bhi aahaT par
agarche tark tera intizar kar diya hai
kisi bhi amr pe qudrat 'ata na ki mujh ko
mere sipurd magar karobar kar diya hai
azal abad mein zaruri tha waqfa-e-mabain
magar tawil bahut iKHtisar kar diya hai
numud-e-subh ne sho'la bana diya suraj
zuhur-e-shab ne sitara-sharar kar diya hai
jise main dil se gale se laga ke rakhta hun
use jahaz pe 'asim' sawar kar diya hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 163)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.