KHayalon mein tera aana koi aana nahin phir bhi
ḳhayāloñ meñ tirā aanā koī aanā nahīñ phir bhī
huā jaatā hai mausam mere andar kā hasīñ phir bhī
mirā dil hai ki jangal meñ koī bhaTkā huā jogī
use maiñ roktā to huuñ vo jaatā hai kahīñ phir bhī
tirī parvāz ho kitnī hī ūñchī āsmānoñ meñ
sukūñ ke vāste to chāhiye do gaz zamīñ phir bhī
use mujh par yaqīñ kyoñ hai mire andar kamī kyoñ hai
maiñ us ko chhoḌ aayā huuñ khaḌā hai vo vahīñ phir bhī
falak par jo nahīñ Tikte vo taare TuuT jaate haiñ
ḳharāba in sitāroñ kā uThātī hai zamīñ phir bhī
mire hāthoñ se dāman khīñchne vaale tū kyā jaane
churā lī hai tire dāman se musht-e-'ambarīñ phir bhī
KHayalon mein tera aana koi aana nahin phir bhi
hua jata hai mausam mere andar ka hasin phir bhi
mera dil hai ki jangal mein koi bhaTka hua jogi
use main rokta to hun wo jata hai kahin phir bhi
teri parwaz ho kitni hi unchi aasmanon mein
sukun ke waste to chahiye do gaz zamin phir bhi
use mujh par yaqin kyon hai mere andar kami kyon hai
main us ko chhoD aaya hun khaDa hai wo wahin phir bhi
falak par jo nahin Tikte wo tare TuT jate hain
KHaraba in sitaron ka uThati hai zamin phir bhi
mere hathon se daman khinchne wale tu kya jaane
chura li hai tere daman se musht-e-'ambarin phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.