Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai

Taj Saeed

khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai

Taj Saeed

MORE BYTaj Saeed

    khiḌkī meñ ek naar jo mahv-e-ḳhayāl hai

    shāyad kisī ke pyaar ko paane chaal hai

    kamre chiiz chiiz pe hai hasratoñ gard

    āñgan meñ ujlī dhuup phailā jamāl hai

    alfāz ke guhar tirī ḳhātir piro liye

    ye bhī to tere husn-e-talab kamāl hai

    iz.hār-e-ishq kartā hai ab raah chalte bhī

    is 'ahd javāñ baḌā raushan-ḳhayāl hai

    barsoñ ke yaar kab ke judā ho ga.e 'sa.īd'

    is shahr meñ zarūr muravvat kaal hai

    khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai

    shayad kisi ke pyar ko pane ki chaal hai

    kamre ki chiz chiz pe hai hasraton ki gard

    aangan mein ujli dhup ka phaila jamal hai

    alfaz ke guhar teri KHatir piro liye

    ye bhi to tere husn-e-talab ka kamal hai

    izhaar-e-ishq karta hai ab rah chalte bhi

    is 'ahd ka jawan baDa raushan-KHayal hai

    barson ke yar kab ke juda ho gae 'said'

    is shahr mein zarur murawwat ka kal hai

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. 523)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now