aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki

Rafiq Raaz

khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    khīñch laa.ī thī mujhe ḳhushbū tere pairahan

    par tirī āñkhoñ meñ hai vahshat bhī āhū-e-ḳhutan

    ishq ātish kahāñ bārūd ke sho.ale haiñ raqsāñ

    ab kahāñ vo zulf aur vo dāstāñ dār-o-rasan

    kyā hue vo din ki jab aksar mayassar thī mujhe bhī

    din ko zulmat zulf aur dhuup shab ko sīm-tan

    ātish-e-furqat se maiñ shab ko ujālā māñgtā huuñ

    ishq meñ hotī nahīñ hai had koī dīvāne-pan

    raushnī jis mirī āñkhoñ ko ḳhīra kar chukī hai

    raakh kar ke chhoḌ degī ab harārat is badan

    dekh ke raste ke manzar sab ke sab the ġharq-e-hairat

    yaad aise meñ bhalā aatī kise apne vatan

    khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki

    par teri aankhon mein hai wahshat bhi aahu-e-KHutan ki

    ishq ki aatish kahan barud ke shoale hain raqsan

    ab kahan wo zulf aur wo dastan dar-o-rasan ki

    kya hue wo din ki jab aksar mayassar thi mujhe bhi

    din ko zulmat zulf ki aur dhup shab ko sim-tan ki

    aatish-e-furqat se main shab ko ujala mangta hun

    ishq mein hoti nahin hai had koi diwane-pan ki

    raushni jis ki meri aankhon ko KHira kar chuki hai

    rakh kar ke chhoD degi ab hararat is badan ki

    dekh ke raste ke manzar sab ke sab the gharq-e-hairat

    yaad aise mein bhala aati kise apne watan ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now