khilta badan gulab ki jis ko nazar lage
khiltā badan gulāb kī jis ko nazar lage
ḳhushbū kī bhiiḌ meñ koī tujh sā magar lage
jab se diloñ ke biich meñ dīvār-o-dar lage
gulshan ke saare peḌ hameñ be-samar lage
kū-e-junūñ kī miT ga.ī pahchān sab magar
ḳhushbū jahāñ ruke vahīñ us kā hī ghar lage
kābul ho chiin ho ki vo bairūt kā dayār
maqtal meñ jo gire mujhe apnā hī sar lage
ham is makān se bhī bahut tang aa chuke
ghar aisā koī ho jo sadā apnā ghar lage
andar se reza reza hai vo shaḳhs bhī miyāñ
bāhar se dekhne meñ jo shorīda-sar lage
katba vahāñ lagā.iyo 'māhir' ke naam kā
dillī meñ jab numā.ish-e-ahl-e-hunar lage
khilta badan gulab ki jis ko nazar lage
KHushbu ki bhiD mein koi tujh sa magar lage
jab se dilon ke bich mein diwar-o-dar lage
gulshan ke sare peD hamein be-samar lage
ku-e-junun ki miT gai pahchan sab magar
KHushbu jahan ruke wahin us ka hi ghar lage
kabul ho chin ho ki wo bairut ka dayar
maqtal mein jo gire mujhe apna hi sar lage
hum is makan se bhi bahut tang aa chuke
ghar aisa koi ho jo sada apna ghar lage
andar se reza reza hai wo shaKHs bhi miyan
bahar se dekhne mein jo shorida-sar lage
katba wahan lagaiyo 'mahir' ke nam ka
dilli mein jab numaish-e-ahl-e-hunar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.