KHirad junun ko agar bha gaya to kya hoga
ḳhirad junūñ ko agar bhā gayā to kyā hogā
faqīr raqs se ghabrā gayā to kyā hogā
tamām vaqt guzartā hai apne saath tirā
tū apne aap se uktā gayā to kyā hogā
umūr-e-dahr meñ is vaqt huuñ bahut masrūf
tirā ḳhayāl mujhe aa gayā to kyā hogā
abhī to roke hue hai kahīñ kahīñ sūraj
ye abr puurī tarah chhā gayā to kyā hogā
sajī huī hai tirī yaad mere kamre meñ
agar yahāñ tū kabhī aa gayā to kyā hogā
sivā.e jang ke sūrat nahīñ rahī koī
inhīñ ḳhutūt pe sochā gayā to kyā hogā
KHirad junun ko agar bha gaya to kya hoga
faqir raqs se ghabra gaya to kya hoga
tamam waqt guzarta hai apne sath tera
tu apne aap se ukta gaya to kya hoga
umur-e-dahr mein is waqt hun bahut masruf
tera KHayal mujhe aa gaya to kya hoga
abhi to roke hue hai kahin kahin suraj
ye abr puri tarah chha gaya to kya hoga
saji hui hai teri yaad mere kamre mein
agar yahan tu kabhi aa gaya to kya hoga
siwae jang ke surat nahin rahi koi
inhin KHutut pe socha gaya to kya hoga
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 167)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.