KHizan ka daur hai mausam ko KHush-gawar na kar
ḳhizāñ kā daur hai mausam ko ḳhush-gavār na kar
ham ahl-e-hijr haiñ ham se tū zikr-e-yār na kar
bas ek maiñ hī bachā huuñ safar meñ saath tire
so tujh ko chāra bhī kyā hai jo e'tibār na kar
havā-e-shām tū aise na chheḌ tang na kar
badan se yuuñ na lipaT mujh ko be-qarār na kar
yaqīn chāhtā huuñ ab ke terī baat pe maiñ
so mujh se milne kā vā'da yuuñ baar baar na kar
tujhe akelā na kar de ga.ī rutoñ kā malāl
yahī kahūñgā musāfir kā intizār na kar
KHizan ka daur hai mausam ko KHush-gawar na kar
hum ahl-e-hijr hain hum se tu zikr-e-yar na kar
bas ek main hi bacha hun safar mein sath tere
so tujh ko chaara bhi kya hai jo e'tibar na kar
hawa-e-sham tu aise na chheD tang na kar
badan se yun na lipaT mujh ko be-qarar na kar
yaqin chahta hun ab ke teri baat pe main
so mujh se milne ka wa'da yun bar bar na kar
tujhe akela na kar de gai ruton ka malal
yahi kahunga musafir ka intizar na kar
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 80)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.