Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai

Rafia Shabnam Abidi

KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    ḳhud-farebī hai daġhā-bāzī hai ayyārī hai

    aaj ke daur meñ jiinā bhī adākārī hai

    tum jo pardes se aao to yaqīñ aa jaa.e

    ab ke barsāt ye sunte haiñ baḌī pyārī hai

    mere āñgan meñ to kāñTe bhī hare ho na sake

    us chhat pe to mahaktī huī phulvārī hai

    chūḌiyāñ kāñch qātil na kahīñ ban jaa.eñ

    sehr-añgez burī un gulū-kārī hai

    kaash bijlī koī chamke koī bādal barse

    aaj shaam zamīnoñ pe bahut bhārī hai

    khā ga.ī garmi-e-jazbāt ko rasmoñ havā

    aaj har shaḳhs faqat barf almārī hai

    maiñ bhī rādhā se koī kam to nahīñ huuñ 'shabnam'

    sāñvle rañg merā bhī to girdhārī hai

    KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai

    aaj ke daur mein jina bhi adakari hai

    tum jo pardes se aao to yaqin aa jae

    ab ke barsat ye sunte hain baDi pyari hai

    mere aangan mein to kanTe bhi hare ho na sake

    us ki chhat pe to mahakti hui phulwari hai

    chuDiyan kanch ki qatil na kahin ban jaen

    sehr-angez buri un ki gulu-kari hai

    kash bijli koi chamke koi baadal barse

    aaj ki sham zaminon pe bahut bhaari hai

    kha gai garmi-e-jazbaat ko rasmon ki hawa

    aaj har shaKHs faqat barf ki almari hai

    main bhi radha se koi kam to nahin hun 'shabnam'

    sanwle rang ka mera bhi to girdhaari hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    KHud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai Azra Naqvi

    Source:

    Mausam bhiigii aa.nkho.n kaa (Pg. 52)

    • Author: Rafia Shabnam Abidi
      • Edition: 1985
      • Publisher: Hassan Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now