KHud haal aa ke dekh lo KHana-KHarab ka
ḳhud haal aa ke dekh lo ḳhāna-ḳharāb kā
ab tak ye muntazir hai tumhāre javāb kā
tā'rīf kyā karūñ abhī tanqīd kyā karūñ
kuchh baab hī paḌhā hai tumhārī kitāb kā
ai sard-qaum tujh meñ harārat kī thī kamī
ehsān hai ye tujh pe mire inqalāb kā
yādoñ kī titliyoñ ko ta'ajjub huā bahut
qissa sunā gayā vo adhūre gulāb kā
tum kyā ga.e ki duniyā hī merī ujaḌ ga.ī
pūchho na mujh se haal mire iztirāb kā
sūraj se aaj phir huī shāyad kahā-sunī
utrā huā sā muñh hai mire māhtāb kā
sharmindagī to hogī ai 'saifī' bahut mujhe
aa jā.egā jo vaqt hisāb-o-kitāb kā
KHud haal aa ke dekh lo KHana-KHarab ka
ab tak ye muntazir hai tumhaare jawab ka
ta'rif kya karun abhi tanqid kya karun
kuchh bab hi paDha hai tumhaari kitab ka
ai sard-qaum tujh mein hararat ki thi kami
ehsan hai ye tujh pe mere inqalab ka
yaadon ki titliyon ko ta'ajjub hua bahut
qissa suna gaya wo adhure gulab ka
tum kya gae ki duniya hi meri ujaD gai
puchho na mujh se haal mere iztirab ka
suraj se aaj phir hui shayad kaha-suni
utra hua sa munh hai mere mahtab ka
sharmindagi to hogi ai 'saifi' bahut mujhe
aa jaega jo waqt hisab-o-kitab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.