Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha

Azad Gulati

KHud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    ḳhud hamīñ ko rāhatoñ ke kaif chaskā na thā

    zindagī zahr varna is qadar kaḌvā na thā

    us ne tanhā.ī se ghabrā kar pukārā to nahīñ

    is se pahle to mirā dil is tarah dhaḌkā na thā

    haa.e vo aalam ki un bazm meñ bhī baiTh kar

    maiñ yahī sochā kiyā maiñ to kabhī tanhā na thā

    us ke apne haath ruḳhsāroñ ko sahlāne lage

    go ba-zāhir merī bābat us ne kuchh sochā na thā

    har taraf khiltī rahīñ kaliyāñ nasīm-e-sub.h se

    apnī qismat meñ sabā ek bhī jhoñkā na thā

    zindagī ai zindagī!! aa do ghaḌī mil kar raheñ

    tujh se merā umr-bhar to koī jhagḌā na thā

    sochte haiñ ab use 'āzād' ham kyā naam deñ

    umar vo daur dil meñ jab koī saudā na thā

    KHud hamin ko rahaton ke kaif ka chaska na tha

    zindagi ka zahr warna is qadar kaDwa na tha

    us ne tanhai se ghabra kar pukara to nahin

    is se pahle to mera dil is tarah dhaDka na tha

    hae wo aalam ki un ki bazm mein bhi baiTh kar

    main yahi socha kiya main to kabhi tanha na tha

    us ke apne hath ruKHsaron ko sahlane lage

    go ba-zahir meri babat us ne kuchh socha na tha

    har taraf khilti rahin kaliyan nasim-e-subh se

    apni qismat mein saba ka ek bhi jhonka na tha

    zindagi ai zindagi!! aa do ghaDi mil kar rahen

    tujh se mera umr-bhar ka to koi jhagDa na tha

    sochte hain ab use 'azad' hum kya nam den

    umar ka wo daur dil mein jab koi sauda na tha

    Source:

    Dasht-e-Sada (Pg. 137)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now