KHud hi ke hisse ki KHushi pane se rah gae
ḳhud hī ke hisse kī ḳhushī paane se rah ga.e
apne hī saath vaqt bitāne se rah ga.e
vo sab bane jo aap banāte ga.e hameñ
ham yaar ḳhud ko kuchh bhī banāne se rah ga.e
ye duniyā ham se ruuTh ga.ī aap ke sabab
aur is pe aap ko bhī manāne se rah ga.e
us ne ishāra hī nahīñ samjhā kabhī mirā
har baar mere tiir nishāne se rah ga.e
ik roz us ne ham ko divānā sā kah diyā
phir us ke baa'd ham bhī divāne se rah ga.e
KHud hi ke hisse ki KHushi pane se rah gae
apne hi sath waqt bitane se rah gae
wo sab bane jo aap banate gae hamein
hum yar KHud ko kuchh bhi banane se rah gae
ye duniya hum se ruTh gai aap ke sabab
aur is pe aap ko bhi manane se rah gae
us ne ishaara hi nahin samjha kabhi mera
har bar mere tir nishane se rah gae
ek roz us ne hum ko diwana sa kah diya
phir us ke ba'd hum bhi diwane se rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.