aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ke ehsas-e-mohabbat ne mujhe zinda rakha

Urmila Madhav

KHud ke ehsas-e-mohabbat ne mujhe zinda rakha

Urmila Madhav

MORE BYUrmila Madhav

    ḳhud ke ehsās-e-mohabbat ne mujhe zinda rakhā

    mere kuchh nek ḳhayālāt ne tābinda rakhā

    mujh ko mushkil guzartī hai shanāsā.ī se

    kyūñki ai dosto tum ne mujhe sharminda rakhā

    sahl-dil huuñ to mujhe aap chalnā hai mahz

    apne me.ayār ko so ḳhud se pā.inda rakhā

    dil-lagī kartī rahī ḳhāk-e-mohabbat mujh se

    zindagī maiñ ne tujhe ret bāshinda rakhā

    kitne rañgoñ se mirī saañs ke kas-bal tole

    phir bhī bhaTke nahīñ dhyān ye ā.inda rakhā

    KHud ke ehsas-e-mohabbat ne mujhe zinda rakha

    mere kuchh nek KHayalat ne tabinda rakha

    mujh ko mushkil hi guzarti hai shanasai se

    kyunki ai dosto tum ne mujhe sharminda rakha

    sahl-dil hun to mujhe aap hi chalna hai mahz

    apne meayar ko so KHud se hi painda rakha

    dil-lagi karti rahi KHak-e-mohabbat mujh se

    zindagi main ne tujhe ret ka bashinda rakha

    kitne rangon se meri sans ke kas-bal tole

    phir bhi ji bhaTke nahin dhyan ye aainda rakha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now