KHud ko deta hun tasalli yahi ghabrane par
ḳhud ko detā huuñ tasallī yahī ghabrāne par
vo zarūr aa.egā dariyā ke utar jaane par
zā.iqa is kā to chakhnā hī paḌegā sab ko
naam sab kā hai likhā maut ke paimāne par
lag rahā hai ki maiñ zinda huuñ abhī tak varna
daf'atan dil na dhaḌaktā yuuñ tire aane par
apne hāthoñ meñ uThā rakkhe haiñ sab ne patthar
kaun likkhegā qasīda yahāñ dīvāne par
husn parvā kahāñ kartā hai koī jaañ se gayā
sham' kab rotī hai parvāne ke jal jaane par
haa.e re vaqt ne kyā mujh pe sitam Dhāyā hai
log hañste haiñ mire 'ishq ke afsāne par
apne is bande ko īmān se ḳhālī na samajh
naqsh hai naam tirā dil ke har ik ḳhāne par
tum vahāñ bāñTne aa.e ho mohabbat 'rānā'
log hañste haiñ jahāñ phuul bikhar jaane par
KHud ko deta hun tasalli yahi ghabrane par
wo zarur aaega dariya ke utar jaane par
zaiqa is ka to chakhna hi paDega sab ko
nam sab ka hai likha maut ke paimane par
lag raha hai ki main zinda hun abhi tak warna
daf'atan dil na dhaDakta yun tere aane par
apne hathon mein uTha rakkhe hain sab ne patthar
kaun likkhega qasida yahan diwane par
husn parwa kahan karta hai koi jaan se gaya
sham' kab roti hai parwane ke jal jaane par
hae re waqt ne kya mujh pe sitam Dhaya hai
log hanste hain mere 'ishq ke afsane par
apne is bande ko iman se KHali na samajh
naqsh hai nam tera dil ke har ek KHane par
tum wahan banTne aae ho mohabbat 'rana'
log hanste hain jahan phul bikhar jaane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.