KHud ko KHuda samajhta hai nadan yaad rakh
ḳhud ko ḳhudā samajhtā hai nādān yaad rakh
ab tak nahīñ huā hai tū insān yaad rakh
señkī haiñ tū ne roTiyāñ auroñ kī aañch par
khaa.e haiñ tū ne auroñ ke pakvān yaad rakh
tujh par ulaT rahe haiñ tire paiñtare sabhī
ḳhud kā hī kar rahā hai tū nuqsān yaad rakh
tū ne liyā hai jo vo chukānā bhī hai tujhe
ai qarz-dār sab kā tū ehsān yaad rakh
'aurat hai gar siyā to hai kaalī kā ruup bhī
ye khel kā nahīñ koī sāmān yaad rakh
tere bhale kī baat kahī hai burā na maan
degā jo vo milegā mirī jaan yaad rakh
KHud ko KHuda samajhta hai nadan yaad rakh
ab tak nahin hua hai tu insan yaad rakh
senki hain tu ne roTiyan auron ki aanch par
khae hain tu ne auron ke pakwan yaad rakh
tujh par ulaT rahe hain tere paintare sabhi
KHud ka hi kar raha hai tu nuqsan yaad rakh
tu ne liya hai jo wo chukana bhi hai tujhe
ai qarz-dar sab ka tu ehsan yaad rakh
'aurat hai gar siya to hai kali ka rup bhi
ye khel ka nahin koi saman yaad rakh
tere bhale ki baat kahi hai bura na man
dega jo wo milega meri jaan yaad rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.