KHud-sari bebas-o-mismar nazar aai hai
ḳhud-sarī bebas-o-mismār nazar aa.ī hai
ek rauñdī huī dastār nazar aa.ī hai
ye jo tum uḌne lage ho kisī titlī kī tarah
kyā tumheñ phuul kī mahkār nazar aa.ī hai
ik na.e saa.e kī taḳhlīq huī hai mumkin
raushnī sī pas-e-dīvār nazar aa.ī hai
sarsarī maiñ ne jise ek nazar dekhā thā
phir vahī shakl ka.ī baar nazar aa.ī hai
marhala haq kī himāyat kā hai shāyad 'āsim'
sar pe laTkī huī talvār nazar aa.ī hai
KHud-sari bebas-o-mismar nazar aai hai
ek raundi hui dastar nazar aai hai
ye jo tum uDne lage ho kisi titli ki tarah
kya tumhein phul ki mahkar nazar aai hai
ek nae sae ki taKHliq hui hai mumkin
raushni si pas-e-diwar nazar aai hai
sarsari main ne jise ek nazar dekha tha
phir wahi shakl kai bar nazar aai hai
marhala haq ki himayat ka hai shayad 'asim'
sar pe laTki hui talwar nazar aai hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 135)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.