Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud se main be-yaqin hua hi nahin

Aas Fatmi

KHud se main be-yaqin hua hi nahin

Aas Fatmi

MORE BYAas Fatmi

    ḳhud se maiñ be-yaqīñ huā nahīñ

    āsmāñ thā zamīñ huā nahīñ

    ishq kahte haiñ sab jise ham se

    vo gunāh-e-hasīñ huā nahīñ

    vasl bhī us us ke jaisā thā

    jo gumāñ se yaqīñ huā nahīñ

    ḳhāna-e-dil sarā sūrat hai

    koī is meñ makīñ huā nahīñ

    laakh chāhā magar suḳhan merā

    qābil-e-āfrīñ huā nahīñ

    maiñ bhī ḳhud ko sañvārtā 'mohsin'

    aa.ina nukta-chīñ huā nahīñ

    KHud se main be-yaqin hua hi nahin

    aasman tha zamin hua hi nahin

    ishq kahte hain sab jise hum se

    wo gunah-e-hasin hua hi nahin

    wasl bhi us ka us ke jaisa tha

    jo guman se yaqin hua hi nahin

    KHana-e-dil sara ki surat hai

    koi is mein makin hua hi nahin

    lakh chaha magar suKHan mera

    qabil-e-afrin hua hi nahin

    main bhi KHud ko sanwarta 'mohsin'

    aaina nukta-chin hua hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now