KHud se mat hona KHafa rohit kabhi
ḳhud se mat honā ḳhafā 'rohit' kabhī
varna pā.egā sazā 'rohit' kabhī
ab zamāne meñ kahāñ ahl-e-nazar
aañkh se pardā uThā 'rohit' kabhī
sab kahānī hai yahāñ kirdār kī
ḳhud se mat ḳhud ko chhupā 'rohit' kabhī
kaun kahtā hai ki vo suntā nahīñ
dil se bhī detā sadā 'rohit' kabhī
zindagī meñ laakh ġham pahle se haiñ
dil kisī se mat lagā 'rohit' kabhī
vaqt kī hai sab kahānī yaad rakh
qarz ḳhud kā bhī chukā 'rohit' kabhī
kab talak ab saath degī zindagī
maut se bhī dil lagā 'rohit' kabhī
KHud se mat hona KHafa 'rohit' kabhi
warna paega saza 'rohit' kabhi
ab zamane mein kahan ahl-e-nazar
aankh se parda uTha 'rohit' kabhi
sab kahani hai yahan kirdar ki
KHud se mat KHud ko chhupa 'rohit' kabhi
kaun kahta hai ki wo sunta nahin
dil se bhi deta sada 'rohit' kabhi
zindagi mein lakh gham pahle se hain
dil kisi se mat laga 'rohit' kabhi
waqt ki hai sab kahani yaad rakh
qarz KHud ka bhi chuka 'rohit' kabhi
kab talak ab sath degi zindagi
maut se bhi dil laga 'rohit' kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.