KHuda hi aap na jab tak zamin pe utrega
ḳhudā hī aap na jab tak zamīñ pe utregā
to kaun puurā kisī ke yaqīñ pe utregā
ye sail-e-ashk bhī apnā hai aañkh bhī apnī
khaḌe raho ki ye dariyā yahīñ pe utregā
bharosa koī nahīñ hai kisī musāfir kā
jahāñ bhī rail rukegī vahīñ pe utregā
chale to ho safar-e-‘ishq par ḳhayāl rahe
kahīñ chaḌhegā ye dariyā kahīñ pe utregā
tamām ḳhāk-nashīñ zer-e-ḳhāk hoñge magar
lahū kā rang tirī āstīñ pe utregā
yahāñ bhare hue baiThe haiñ sab bañdhe hāthoñ
so ab ye ġhussa tire jā-nashīñ pe utregā
'jamāl' ḳhitta-e-dil ho bhī jaa.e gar hamvār
koī jahāz na is sarzamīñ pe utregā
KHuda hi aap na jab tak zamin pe utrega
to kaun pura kisi ke yaqin pe utrega
ye sail-e-ashk bhi apna hai aankh bhi apni
khaDe raho ki ye dariya yahin pe utrega
bharosa koi nahin hai kisi musafir ka
jahan bhi rail rukegi wahin pe utrega
chale to ho safar-e-‘ishq par KHayal rahe
kahin chaDhega ye dariya kahin pe utrega
tamam KHak-nashin zer-e-KHak honge magar
lahu ka rang teri aastin pe utrega
yahan bhare hue baiThe hain sab bandhe hathon
so ab ye ghussa tere ja-nashin pe utrega
'jamal' KHitta-e-dil ho bhi jae gar hamwar
koi jahaz na is sarzamin pe utrega
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 119)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.