KHuda jaane kis jurm ki ye saza hai
ḳhudā jaane kis jurm kī ye sazā hai
bahāroñ meñ kāñToñ se dāman bharā hai
samajhte haiñ ham dhamkiyāñ dene vaalo
kisī dost kā hī ishāra huā hai
jo mil mil ke ham se daġhā kar rahe haiñ
unhīñ par hameñ e'tibār aa rahā hai
ġhamoñ se ulajhne kā hai naam jiinā
buzurgoñ se aksar ye maiñ ne sunā hai
vafā kī nahīñ jin se ummīd mujh ko
unhīñ dostoñ par bharosa kiyā hai
ai 'gulshan' vo samjhegā kyā rāz-e-gulshan
jo gulshan meñ kāñToñ se bach kar chalā hai
KHuda jaane kis jurm ki ye saza hai
bahaaron mein kanTon se daman bhara hai
samajhte hain hum dhamkiyan dene walo
kisi dost ka hi ishaara hua hai
jo mil mil ke hum se dagha kar rahe hain
unhin par hamein e'tibar aa raha hai
ghamon se ulajhne ka hai nam jina
buzurgon se aksar ye main ne suna hai
wafa ki nahin jin se ummid mujh ko
unhin doston par bharosa kiya hai
ai 'gulshan' wo samjhega kya raaz-e-gulshan
jo gulshan mein kanTon se bach kar chala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.