KHuda ke is qadar nazdik jaana paD raha hai
ḳhudā ke is qadar nazdīk jaanā paḌ rahā hai
use mansab hameñ īmāñ bachānā paḌ rahā hai
jise ham zindagī-bhar yaad rakhnā chāhte the
bahut tezī se vo chehra purānā paḌ rahā hai
raqībo tum ruko mumkin hai vo haath aa hī jaa.e
hameñ to ḳhair jaldī lauT jaanā paḌ rahā hai
kisī par der se kholā thā dil kā raaz ham ne
kisī ko vaqt se pahle batānā paḌ rahā hai
kahāñ ḳhātir meñ laatā thā vo merī sādgī ko
use pahle kā ik chehra dikhānā paḌ rahā hai
KHuda ke is qadar nazdik jaana paD raha hai
use mansab hamein iman bachana paD raha hai
jise hum zindagi-bhar yaad rakhna chahte the
bahut tezi se wo chehra purana paD raha hai
raqibo tum ruko mumkin hai wo hath aa hi jae
hamein to KHair jaldi lauT jaana paD raha hai
kisi par der se khola tha dil ka raaz hum ne
kisi ko waqt se pahle batana paD raha hai
kahan KHatir mein lata tha wo meri sadgi ko
use pahle ka ek chehra dikhana paD raha hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 33)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.