Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khul ke baaten karen sunaen sab

Salman Akhtar

khul ke baaten karen sunaen sab

Salman Akhtar

MORE BYSalman Akhtar

    khul ke bāteñ kareñ sunā.eñ sab

    koī to ho jise batā.eñ sab

    raat phir kashmakash meñ guzrī hai

    thoḌā batlā deñ chhupā.eñ sab

    kuchh to apne liye bhī rakhnā hai

    zaḳhm auroñ ko kyuuñ dikhā.eñ sab

    le chalūñ aao tum ko manzil tak

    mujh se kahtī haiñ ye dishā.eñ sab

    kaam logoñ ke dil ko bhā jaa.e

    dil agar kaam meñ lagā.eñ sab

    khul ke baaten karen sunaen sab

    koi to ho jise bataen sab

    raat phir kashmakash mein guzri hai

    thoDa batla den ya chhupaen sab

    kuchh to apne liye bhi rakhna hai

    zaKHm auron ko kyun dikhaen sab

    le chalun aao tum ko manzil tak

    mujh se kahti hain ye dishaen sab

    kaam logon ke dil ko bha jae

    dil agar kaam mein lagaen sab

    Source:

    Soch Samajh (Pg. 33)

    • Author: Salman Akhtar
      • Edition: 2015
      • Publisher: Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now