aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se

Alok Yadav

khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se

Alok Yadav

MORE BYAlok Yadav

    khulā hai ziist ik ḳhushnumā varaq phir se

    havā-e-shauq ne hai yahāñ pe daq phir se

    pukārtā hai mujhe kaun mere maazī se

    ki aaj ruḳh pe mire chhā ga.ī shafaq phir se

    ḳhafā ḳhafā se haiñ āḳhir janāb-e-nāseh kyuuñ

    kisī ne kar diyā kyā aaj zikr-e-haq phir se

    kisī se ruuTh ga.e kisī dil toḌā

    jabīñ pe aa gayā kyuuñ aap araq phir se

    miyān-e-dil koī letī hai Tiis añgḌā.ī

    vahī hai rañj vahī ġham vahī qalaq phir se

    na niklo chāñdnī rātoñ meñ kitnī baar kahā

    huā hai chāñd ke chehre rañg faq phir se

    bas ek tajraba kaafī hai zindagī ke liye

    paḌhā na jā.egā ham se vahī sabaq phir se

    yahī nizām-e-zamāna yahī taġhayyur hai

    jo sahl hai vahī ho jā.egā adaq phir se

    kahīñ qarīb bādal baraste haiñ 'ālok'

    havā.eñ laa.ī haiñ ḳhunkī kuchh ramaq phir se

    khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se

    hawa-e-shauq ne ki hai yahan pe daq phir se

    pukarta hai mujhe kaun mere mazi se

    ki aaj ruKH pe mere chha gai shafaq phir se

    KHafa KHafa se hain aaKHir janab-e-naseh kyun

    kisi ne kar diya kya aaj zikr-e-haq phir se

    kisi se ruTh gae ya kisi ka dil toDa

    jabin pe aa gaya kyun aap ki araq phir se

    miyan-e-dil koi leti hai Tis angDai

    wahi hai ranj wahi gham wahi qalaq phir se

    na niklo chandni raaton mein kitni bar kaha

    hua hai chand ke chehre ka rang faq phir se

    bas ek tajraba kafi hai zindagi ke liye

    paDha na jaega hum se wahi sabaq phir se

    yahi nizam-e-zamana yahi taghayyur hai

    jo sahl hai wahi ho jaega adaq phir se

    kahin qarib hi baadal baraste hain 'alok'

    hawaen lai hain KHunki ki kuchh ramaq phir se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now