Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHumar apni ana ka utar chuka kab ka

Yawar Husain

KHumar apni ana ka utar chuka kab ka

Yawar Husain

MORE BYYawar Husain

    ḳhumār apnī anā utar chukā kab

    tire havāle to maiñ ḳhud ko kar chukā kab

    vo ek lamha ki jab to thā paas mire

    vo ek lamha-e-vahdat guzar chukā kab

    ye maiñ jo tujh ko nazar aa rahā huuñ maiñ huuñ kahāñ

    maiñ ḳhaak ban ke havā meñ bikhar chukā kab

    kaho ki phir se utāre vo qalb meñ nashtar

    purānā zaḳhm mire dil bhar chukā kab

    ye aur baat abhī saañs hai āmad-o-raft

    maiñ apne jism ke andar to mar chukā kab

    kahāñ haiñ 'yāvar'-e-āshufta-sar bulāo unheñ

    nigār-ḳhāna-e-maqtal sañvar chukā kab

    KHumar apni ana ka utar chuka kab ka

    tere hawale to main KHud ko kar chuka kab ka

    wo ek lamha ki jab tu hi to tha pas mere

    wo ek lamha-e-wahdat guzar chuka kab ka

    ye main jo tujh ko nazar aa raha hun main hun kahan

    main KHak ban ke hawa mein bikhar chuka kab ka

    kaho ki phir se utare wo qalb mein nashtar

    purana zaKHm mere dil ka bhar chuka kab ka

    ye aur baat abhi sans ki hai aamad-o-raft

    main apne jism ke andar to mar chuka kab ka

    kahan hain 'yawar'-e-ashufta-sar bulao unhen

    nigar-KHana-e-maqtal sanwar chuka kab ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now