Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai

Musavvir Sabzwari

KHush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    Interesting Fact

    Sher-o-Hikmat, Hyderabad

    ḳhush-fahmiyoñ ke khel ab kyā sabīl hai

    kāġhaz ek naav hai aur ḳhushk jhiil hai

    sar par uThā.e dhuup ko sūraj tarah chal

    manzil kahāñ ye silsila-e-sañg-mīl hai

    lāshoñ ke Dher meñ abhī zinda to huuñ magar

    mere bhī sar pe uḌtī huī ek chiil hai

    saaya bhī band muTThī meñ rakhtā hai bhīñch kar

    ūñchā ye daraḳht nihāyat baḳhīl hai

    maiñ ghaav gahre pāniyoñ huuñ na mujh se mil

    mujh meñ Duub jā.egī nannhī jhiil hai

    darvāze khiḌkī mujh pe 'musavvir' haiñ sab band

    sarmā ThiThurā chāñd hai aur shab tavīl hai

    KHush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai

    kaghaz ki ek naw hai aur KHushk jhil hai

    sar par uThae dhup ko suraj ki tarah chal

    manzil kahan ye silsila-e-sang-mil hai

    lashon ke Dher mein abhi zinda to hun magar

    mere bhi sar pe uDti hui ek chil hai

    saya bhi band muTThi mein rakhta hai bhinch kar

    uncha sa ye daraKHt nihayat baKHil hai

    main ghaw gahre paniyon ka hun na mujh se mil

    tu mujh mein Dub jaegi nannhi si jhil hai

    darwaze khiDki mujh pe 'musawwir' hain sab hi band

    sarma ka ThiThura chand hai aur shab tawil hai

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 85)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now