Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-rang parinde aae hain mausam par gulon ke sae hain

Nafees Ghazipuri

KHush-rang parinde aae hain mausam par gulon ke sae hain

Nafees Ghazipuri

MORE BYNafees Ghazipuri

    ḳhush-rang parinde aa.e haiñ mausam par guloñ ke saa.e haiñ

    lo raqs ko ham bhī paañv meñ zanjīr pahan kar aa.e haiñ

    har samt fazā meñ halchal hai ik shor bapā hai gulshan meñ

    kuchh log qafas se chhūTe haiñ kuchh toḌ ke zindāñ aa.e haiñ

    tārīkī phir tārīkī hai sunte sunte miT pā.egī

    kuchh diip fasīl-e-shab pe magar yāroñ ne aaj jalā.e haiñ

    is daur-e-jahāñ meñ ham-‘asro hai farq bahut in donoñ meñ

    vo zaḳhm jo tum ne dekhe haiñ jo zaḳhm ki ham ne khaa.e haiñ

    vo sub.h ke darvāze se abhī is shahr meñ din ke aayā hai

    phir shaam ke rūThe shahzāde ko log manā kar laa.e haiñ

    kuchh dā.ere dil meñ lahroñ ke uThte haiñ 'nafīs' āḳhir kyūñkar

    is jhiil ke Thahre paanī meñ patthar ye kidhar se aa.e haiñ

    KHush-rang parinde aae hain mausam par gulon ke sae hain

    lo raqs ko hum bhi panw mein zanjir pahan kar aae hain

    har samt faza mein halchal hai ek shor bapa hai gulshan mein

    kuchh log qafas se chhuTe hain kuchh toD ke zindan aae hain

    tariki phir tariki hai sunte sunte miT paegi

    kuchh dip fasil-e-shab pe magar yaron ne aaj jalae hain

    is daur-e-jahan mein ham-‘asro hai farq bahut in donon mein

    wo zaKHm jo tum ne dekhe hain jo zaKHm ki hum ne khae hain

    wo subh ke darwaze se abhi is shahr mein din ke aaya hai

    phir sham ke ruThe shahzade ko log mana kar lae hain

    kuchh daere dil mein lahron ke uThte hain 'nafis' aaKHir kyunkar

    is jhil ke Thahre pani mein patthar ye kidhar se aae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now