KHushbuon ka shajar nahin dekha
ḳhushbuoñ kā shajar nahīñ dekhā
ek muddat se ghar nahīñ dekhā
rahguzar ham ne aisī chun lī thī
mīloñ dīvār-o-dar nahīñ dekhā
tum jo badle to kyā ġhazab badle
ham ne aisā asar nahīñ dekhā
itnī bojhal huī thī ye palkeñ
us ko dekhā magar nahīñ dekhā
chāñd kaise zamīñ pe chaltā hai
jis ne us ko agar nahīñ dekhā
aa.ina ham se roz pūchhe hai
ḳhud ko kyuuñ ban-sañvar nahīñ dekhā
ḳhat ko chūmā usī kī ḳhushbū thī
ḳhat ke andar magar nahīñ dekhā
tum se bichhḌe to kaise zinda haiñ
tum ne ye soch kar nahīñ dekhā
KHushbuon ka shajar nahin dekha
ek muddat se ghar nahin dekha
rahguzar hum ne aisi chun li thi
milon diwar-o-dar nahin dekha
tum jo badle to kya ghazab badle
hum ne aisa asar nahin dekha
itni bojhal hui thi ye palken
us ko dekha magar nahin dekha
chand kaise zamin pe chalta hai
jis ne us ko agar nahin dekha
aaina hum se roz puchhe hai
KHud ko kyun ban-sanwar nahin dekha
KHat ko chuma usi ki KHushbu thi
KHat ke andar magar nahin dekha
tum se bichhDe to kaise zinda hain
tum ne ye soch kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.