aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai

Fatima Hasan

KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai

Fatima Hasan

MORE BYFatima Hasan

    ḳhushbū hai aur dhīmā dukh phailā hai

    kaun gayā hai ab tak lawn akelā hai

    kyuuñ aahaT par chaukūñ maiñ kis ko dekhūñ

    be-dastak aayā jab vo aayā hai

    khulī kitābeñ sāmne rakkhe baiThī huuñ

    dhuñdle dhuñdle lafzoñ meñ ik chehra hai

    raat darīche tak aa kar ruk jaatī hai

    band āñkhoñ meñ us chehra rahtā hai

    āvāzoñ se ḳhālī kirneñ phailī haiñ

    ḳhāmoshī meñ chāñd bhī tanhā jaltā hai

    jaane kaun se raste pe kho jaa.e vo

    shahr meñ bhī āseboñ Dar rahtā hai

    KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai

    kaun gaya hai ab tak lawn akela hai

    kyun aahaT par chaukun main kis ko dekhun

    be-dastak hi aaya jab wo aaya hai

    khuli kitaben samne rakkhe baiThi hun

    dhundle dhundle lafzon mein ek chehra hai

    raat dariche tak aa kar ruk jati hai

    band aankhon mein us ka chehra rahta hai

    aawazon se KHali kirnen phaili hain

    KHamoshi mein chand bhi tanha jalta hai

    jaane kaun se raste pe kho jae wo

    shahr mein bhi aasebon ka Dar rahta hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Khushbu hai aur dheema sa dukha phaila hai Azra Naqvi

    Azra Naqvi

    Khushboo hai aur Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now