KHushbu ne anjam diya hai kaam mera
ḳhushbū ne anjām diyā hai kaam mirā
āḳhir jā pahuñchā us tak paiġhām mirā
ek yahī to sachchī ḳhabreñ detā hai
dil kaise ho saktā hai nākām mirā
vo to sub.h kī aas dilā.ī tāroñ ne
varna aur irāda thā us shaam mirā
jab jab mujh par buġhz kā saaya paḌtā hai
mailā hone lagtā hai ehrām mirā
tere jalve kaise qaid hoñ she'roñ meñ
lafz adhūre aur tasavvur ḳhaam mirā
tum ehsās kī daulat le kar saath raho
bharte bharte bhar jā.egā jaam mirā
us ke dil meñ chor yaqīnan thā 'anvar'
jhijkā vo mahfil meñ lete naam mirā
KHushbu ne anjam diya hai kaam mera
aaKHir ja pahuncha us tak paigham mera
ek yahi to sachchi KHabren deta hai
dil kaise ho sakta hai nakaam mera
wo to subh ki aas dilai taron ne
warna aur irada tha us sham mera
jab jab mujh par bughz ka saya paDta hai
maila hone lagta hai ehram mera
tere jalwe kaise qaid hon she'ron mein
lafz adhure aur tasawwur KHam mera
tum ehsas ki daulat le kar sath raho
bharte bharte bhar jaega jam mera
us ke dil mein chor yaqinan tha 'anwar'
jhijka wo mahfil mein lete nam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.